نظرانداز کرکے مرکزی مواد پر جائیں

yahan mahfil me har shaks udas baitha hai Shamshad kabir nagri

Yaha'n Mahfil Me Har Shakhs Udas Baitha Hai,
Jise Dekho Banke Devdas Baitha Hai,
Yaha'n Kya Koi Gam Door Karega "Shamshad"
Yaha'n To Har Shakhs Gam Badhane Ke Liye Pas Baitha Hai.

تبصرے

ایک تبصرہ شائع کریں

اس بلاگ سے مقبول پوسٹس

zindagi ka zakhm gahra tha magar itna na tha Shamshad Kabir Nagri

Zindagi Ka Jakhm Gahra Tha Magar Itna N Tha, Tumse Pahle Bhi Mai Tanha Tha Magar Itna N Tha, Apne Apne Daag Sab Mujhpar Lagane Aa Gaye, Mera Daaman Maila Tha Magar Itna N Tha, Meri Khushboo Ko N Raas Aayi Hawa Ki Dosti, Mai Gali Koocho'n Me Ruswa Tha Magar Itna N Tha, Kya Khabar Thi Chheen Li Jayengi Aankhe'n Bhi Meri, Haan Mujhe Shauq-e-Tamasha Tha Magar Itna N Tha.

aisa lagta hai Barson se tha safar me || shamshad kabir nagri

Aisa Lagta Hai Barso'n Se Tha Safar Me, Jahan Se Chala Tha Wahin Khada Hoon, Use Yaad Rakhna Hai Ya Bhool Jana Hai, Iske Liye Mai Khud Se Khoob Lada Hoon, Dil Ko Sukun Nahi Zahen Bhool Jane Pe Ba-Zid, Ek Mai Hoo'n Ki Use Yaad Rakhne Pe Ada Hoo'n, Abhi Char Din Bhi Na Huye Mohabbat Me "Shamshad" Tajarba Kahta Hai Barso'n Se Is Marz Me Pada Hoo'n.

Kabhi Wo Kahta Hai Ki Ishq N Karna Tum Shamshad Kabir Nagri کبھی وہ کہتا ہے کہ عشق نہ کرنا تم شمشاد کبیر نگری

Kabhi Wo Kahta Hai Ki Ishq N Karna Tum, Ishq Karne Wale Badnasib Hote Hai'n, Nahi Dawa Duniya Me Kahin Ishq Ke Beemar Ki, Kabhi Wo Kahta Hai Ki Ishq Ibadat Hai Nahi Shai Koi Bazaar Ki, Kabhi Kahta Hai Padhayi Me Hain Bahut Masruf, Nahi Fursat Hame'n Ki Kare'n Baate'n Ishq-o-Pyaar Ki, Kabhi Kahta Hai Ki Jab Apni Aankh Ho Band To Kya Khata Andhkaar Ki, Kabhi Kahta Hai Sath Rahkar Chhod Jaane Wale Bahut Dekhe, Ab Zarurat Hai Zindagi Bhar Sath Nibhane Wale Yaar, Kabhi Kahta Hai Ham Hain Apne Bhool N Jaana Shamshad, Chale Aana Pass Jab Jarurat Ho Pyaar Ki, Samajh Me Nahi Aati Hai Baate'n Us Dilruba Yaar Ki, Koi Hai Jo Khabar Laye Us Majazi Yaar Ki.                                                                            کبھی وہ کہتا ہے کہ عشق نہ کرنا تم     ...