Insha Ji Uthho Ab Kooch Karo || Urdu Nazam || Urdu Gazal || Urdu Shairi || Sher Mohammed Khan (Ibn Insha )
Insha ji uthho ab kooch karo, Is shahar me ji ko lagana Kya, Wahshi ko sukoon se kya matlab, Jogi ka nagar me thhikana kya, Is dil ke darida daman ko, Dekho to sahi socho to sahi, Jis jhooli me Sau chhed huye, Us jholi ka failana Kya, Shab beeti chand bhi doob chala, Zanjeren padi darwaze par, Kiyun der gaye ghar aaye ho, Sajni se karoge bahana kya, Fir hijr ki lambi raat miyan, sanjog ki to yahi ek ghadi, Jo dil me hai lab par aane do, sharmana kya ghhabrana kya, Us roz jo unko dekha hai, Ab khwab ka aalam lagta hai, Us Roz jo unse baat huyi, Wo baat bhi thi afsana Kya, Us husn ke sache moti ko, Ham dekh saken par chhoo na saken, Jise dekh saken par chhoo na saken, Wo daulat kya wo khazana kya, Jab shahar ke log na rasta den, Kiyun ban men na jaa-o-sharaam karen, Deewanon ki si na baat kare to aur kare deewana kya. Note: Agar pasand aaye dost to comment zaroor karen Sher Mohammad Khan (Ibn Insha)