Hui hai sham to aankhon me bas gaya fir tu,
Kahan gaya hai mere shaher ke musafir Tu,
Meri misaal ki ek nakhl-e-khushk-e-sehra hoon,
Tera khayal ki shaakh-e-chaman ka tair Tu,
Mai jaanta hoon ki dunia tujhe badal degi,
Mai maanta hoon ki aisa nahi b-zahir Tu,
Hansi khushi se bichhar ja agar bichharna hai,
Ye har maqaam pe kya sochta hai aakhir tu,
Fiza udas hai rut muzmahil hai mai chup hoon,
Jo ho sake to chala aa kisi ki khatir tu,
Faraz tune use mushkilon me daal Diya,
Zamana sahib-e-zar aur sirf shayer tu.
Bahut Khoob
جواب دیںحذف کریںShukriya
حذف کریںShukriya
جواب دیںحذف کریں