نظرانداز کرکے مرکزی مواد پر جائیں

Kabhi Wo Kahta Hai Ki Ishq N Karna Tum Shamshad Kabir Nagri کبھی وہ کہتا ہے کہ عشق نہ کرنا تم شمشاد کبیر نگری

Kabhi Wo Kahta Hai Ki Ishq N Karna Tum,
Ishq Karne Wale Badnasib Hote Hai'n,
Nahi Dawa Duniya Me Kahin Ishq Ke Beemar Ki,
Kabhi Wo Kahta Hai Ki Ishq Ibadat Hai Nahi Shai Koi Bazaar Ki,
Kabhi Kahta Hai Padhayi Me Hain Bahut Masruf,
Nahi Fursat Hame'n Ki Kare'n Baate'n Ishq-o-Pyaar Ki,
Kabhi Kahta Hai Ki Jab Apni Aankh Ho Band To Kya Khata Andhkaar Ki,
Kabhi Kahta Hai Sath Rahkar Chhod Jaane Wale Bahut Dekhe,
Ab Zarurat Hai Zindagi Bhar Sath Nibhane Wale Yaar,
Kabhi Kahta Hai Ham Hain Apne Bhool N Jaana Shamshad,
Chale Aana Pass Jab Jarurat Ho Pyaar Ki,
Samajh Me Nahi Aati Hai Baate'n Us Dilruba Yaar Ki,
Koi Hai Jo Khabar Laye Us Majazi Yaar Ki.

                                    
                                      کبھی وہ کہتا ہے کہ عشق نہ کرنا تم
                                         عشق کرنے والے بدنصیب ہوتے ہیں
                             نہیں دوا دنیا میں کہیں عشق کے بیمار کی
    کبھی وہ کہتا ہے کہ عشق عبادت ہے نہیں شےکوئی بازار کی
                      کبھی کہتا ہے کہ پڑھائی میں ہیں بہت مصروف
                    نہیں فرصت ہمیں کہ کریں باتیں عشق و پیار کی
  کبھی وہ کہتا ہے کہ جب اپنی آنکھ ہوبند کیاخطا اندھکارکی
      کبھی وہ کہتا ہے ساتھ رہ کر چھوڑ جانے والے بہت دیکھے
               اب ضرورت ہے زندگی بھر ساتھ نبھانے والے یار کی 
                      کبھی کہتا ہے ہم ہیں اپنے بھول نہ جانا شمشاد 
                                   چلے آنا پاس جب ضرورت ہو پیار کی 
                   سمجھ میں نہیں آتی ہیں باتیں اس دلربا یار کی 
                              کوئ ہے جو خبر لاءے اس مجازی یار کی 





Friends: Ye Jo Kuchh Bhi Maine Likha Hai Yun Samajhiye Ki Maine Uske Message Ko Jitne Mere Pass Aaye Sabko Shairi Me Likhne Ki Koshish Ki Hai,

Pahli Line Jo Hai Usme Ye Batane Ki Koshish Ki Hai, Ki Jab Kisi Ko Bhi Ishq Hota Hai Aur Jab Wo Apne Dil Ki Baat  Jisse Ishq  Mohabbat Karta Hai Usse Batata Hai Ya Mohabbat Ka Izhaar Karta Hai, To Wo Shakhs Yahi Kahta Hai Ki Pyar Wyar Acchi Chez Nahi Hai, Pyar Karne Wale Badnasib Hote Hain Wagairah Wagairah, 
Samjhane Ki Koshish Karega Aapko Aap Ki Feelings Samajhne Ke Bajaye, Aur Jab Use Yaqeen Ho Jayega Aapki Mohabbat Ka, To Yahi Kahega Ki Mohabbat Koi Bazaaru Shai Nahi Ibadat Hai,
Apni Feellings Ko Har Jagah N Share Kare'n Status Is Tarah N Lagayen Logo'n Ko Shak Ho Jayega, Fir Jab Aap Ke Paas Uske Message Aayenge Par N Kabhi Mohabbat Ka Iqraar Karegi N Hi Izhaar Karegi Aur Message Aisa Karegi Ki Aap Ko Lgega Such Me Yaar Mujh Se Mohabbat Karti Hai,
Aur Aap Jab Usse Baat Karna Chahenge Ya Use Batana Chahenge Ki Aap Usse Kitni Mohabbat Karte Hain,
To Wahi Purana Dailauge Ki Mujhe Padhhna Hai Mere Pass Waqt Nahi Rahta,
Mai Padhayi Me Bahut Busy Hoo'n Aisa Lagta Hai Ham Ladke Faaltu Hote Hai'n,
Uske Baad Message Aise Karegi Ki Aap Ko Yaqeen Ho Jayega Ki Aap Se Mohabbat Karne Lagi Hai Aap Jab Wahi Baat Sunna Chahenge To Kahegi Apni Aankh Band Ho To Andhere Ki Kya Galti Hai, Zabaan Se Iqraar Nahi Karegi N Hi Inkaar Karegi Uljhaye Rahegi,
MatlabBande Ka Dimaag Ka Dahi Kar Degi Kabhi Kahegi Busy Hoo'n Time Nahi Rahta Kabhi Aisa Message Ki Aap Bhi Dhoka Kha Jayen,
Wagairah Wagairah
Dosto'n Jaruri Nahi Hai Aap Ke Sath Aisa Ho Par Zayadatar Aisa Hi Hota Hai.

تبصرے

ایک تبصرہ شائع کریں

اس بلاگ سے مقبول پوسٹس

zindagi ka zakhm gahra tha magar itna na tha Shamshad Kabir Nagri

Zindagi Ka Jakhm Gahra Tha Magar Itna N Tha, Tumse Pahle Bhi Mai Tanha Tha Magar Itna N Tha, Apne Apne Daag Sab Mujhpar Lagane Aa Gaye, Mera Daaman Maila Tha Magar Itna N Tha, Meri Khushboo Ko N Raas Aayi Hawa Ki Dosti, Mai Gali Koocho'n Me Ruswa Tha Magar Itna N Tha, Kya Khabar Thi Chheen Li Jayengi Aankhe'n Bhi Meri, Haan Mujhe Shauq-e-Tamasha Tha Magar Itna N Tha.

aisa lagta hai Barson se tha safar me || shamshad kabir nagri

Aisa Lagta Hai Barso'n Se Tha Safar Me, Jahan Se Chala Tha Wahin Khada Hoon, Use Yaad Rakhna Hai Ya Bhool Jana Hai, Iske Liye Mai Khud Se Khoob Lada Hoon, Dil Ko Sukun Nahi Zahen Bhool Jane Pe Ba-Zid, Ek Mai Hoo'n Ki Use Yaad Rakhne Pe Ada Hoo'n, Abhi Char Din Bhi Na Huye Mohabbat Me "Shamshad" Tajarba Kahta Hai Barso'n Se Is Marz Me Pada Hoo'n.