Samajh Me Kuchh Nahi Aata Ki Kya Aye Yaar Likhun shamshad kabir nagri شمشاد کبیر نگری سمجھ م کچھ نہیں آتا کہ کیا اے یار
Samajh Me Kuchh Nahi Aata Ki Kya Aye Yaar Likhun,
Tujhe Hamnashen, Hamsafar, Ki Dildaar Likhun,
Sochta Hoo'n Taareef Me Teri Kya Aye Yaar Likhun,
Gulbadan, Gulfaam, Ki Gulnaar Likhun,
Samajh Me Kuchh Nahi Aata Ki Kya Aye Yaar Likhun,
Teri Zulfo'n Ko Zulf-e-Ambree'n Ki Zulf-e-Taabdaar Likhun,
Tere Jalwo'n Ki Kashish Ki Gulabi Aankho'n Ka Khumaar Likhun,
Samajh Me Kuchh Nahi Aata Ki Kya Aye Yaar Likhun,
Tere Hoto'n Ko Koi Jaam Ki Gul-e-Bahaar Likhun,
Tere Chehre Ko Koi Aaina Ki Tujhe Gul-e-Azaar Likhun,
Tu Hi Bata Ki Tujhe Kya Aye Yaar Likhun,
Teri Walihana Guftagu Ki Qatilana Raftaar Likhun,
Teri Abro'n Ko Katari Ki Nazro'n Ka Waar Likhun,
Samajh Me Kuchh Nahi Aata Ki Kya Aye Yaar Likhun,
Use To "Shamshad" Mai Bas Dilruba Yaar Likhun,
Use Apni Zindagi Use Apna Pyar Likhun.
Note:
Friends Jin Alfaaz (Words) Ki Meaning Mushkil Hai Maine Likh Di Hai.....
زلف عنبریں --------- خوبصورت بال والا
Zulf-e-Ambree'n----- Khubsurat Baal Wala
زلف تابدار ----------- گھنگریالے بال والا
Zulf-e-Taabdar -- Ghungriyal-e-Baal Wala
گل عذار ------------ پھول جیسے رخساروں والا
Gul-e-Azaar ----- Phool Jaise Rukhsaro'n Wala
Bahut Khoob
جواب دیںحذف کریںZabardast
جواب دیںحذف کریںKhoob Waah
جواب دیںحذف کریںShukriya Aap Sabhi ka
جواب دیںحذف کریں