Mai to har tarah ke asbaab-e-halakat dekhun, Aye watan kash tujhe ab ke salamat dekhun, Wo jo qatil the wo easa nafsi bechte hain, Wo jo mujrim hain unhe ahl-e-adalat dekhun, Wo jo be zarf the ab sahib-e-maikhana huye, Ab ba mushkil koi dastaar salamat dekhun, Gardanen tooti hui sar hain khamida jinke, Unko sar gashta-e-pindar-e-imamat dekhun, Qeemat-e-be hunran neelam-o-marjaan thahri, Qismat-e-deede daran sang-e-malamat dekhun, Kizb ki reg-e-rawaan yun hai ki uske aage, Khushk hota hua dariya-e-sadaqat dekhun, Jane kab dashnah ko pewasht-e-ragen jaan karden, Har khari mai jinhe masruf-e-ibadat dekhun. Ahmad Faraz