Mai to har tarah ke asbaab-e-halakat dekhun,
Aye watan kash tujhe ab ke salamat dekhun,
Wo jo qatil the wo easa nafsi bechte hain,
Wo jo mujrim hain unhe ahl-e-adalat dekhun,
Wo jo be zarf the ab sahib-e-maikhana huye,
Ab ba mushkil koi dastaar salamat dekhun,
Gardanen tooti hui sar hain khamida jinke,
Unko sar gashta-e-pindar-e-imamat dekhun,
Qeemat-e-be hunran neelam-o-marjaan thahri,
Qismat-e-deede daran sang-e-malamat dekhun,
Kizb ki reg-e-rawaan yun hai ki uske aage,
Khushk hota hua dariya-e-sadaqat dekhun,
Jane kab dashnah ko pewasht-e-ragen jaan karden,
Har khari mai jinhe masruf-e-ibadat dekhun.
Ahmad Faraz
Ma sha Allah
جواب دیںحذف کریںVery nice