نظرانداز کرکے مرکزی مواد پر جائیں

mera haal puchh ki ham nasheen, in Urdu ||Kalim Aajiz

مرا حال پوچھ کہ ہم نشیں مرے سوزِدل کو ھوا نا دے
بس یہی دعا کروں ہوں اب کہ یہ غم کسی کو خدا نہ دے

یہ جو زخمِ دل کو پکائے ہم لئے پھر رہے ہیں چھپائے ہم
کوئی ناشناس مزاجِ غم کہیں ہاتھ اس کو لگا نہ دے

تو جہاں سے آج ہے نکتہ چیں کبھی مدتوں میں رہا وہیں
میں گدائے راہگزر نہیں مجھے دور ہی سے صدا نہ دے

تب وتاب عشق کا ہے کرم کہ جمی ہے محفلِ چشمِ نم
ذرا دیکھو اے ہوائے غم یہ چراغ کوئی بجھا نہ دے

وہ جو شاعری کا سبب ہوا وہ معاملہ بھی عجب ہوا
میں غزل سنائوں ہوں اس لئے زمانہ اس کو بھلا دے




Mera Haal puchh ki ham nasheen mere soz-e-dil ko hawa n de,
bas yahi duwa karun hun ab ki ye gam kisi ko khuda na de,

ye jo zakhm-e-dil ko pakaye ham liye fir rahe hain chhipaye ham,
koi na-shanaas mizaj-e-gam kahin hath is ko laga na de,

tu jahan se aaj hai nukta cheen kabhi mauddaton me raha wahin,
main gadaa-e-raahguzar nahin mujhe door hi se sada na de,

tab-o-taab ishq ka hai karam ki jami hai mahfil-e-chasm-e-nam,
zara dekho aye hawaa-e-gam ye charaag koi bujha na de,

wo jo shairi ka sabab hua o mamla bhi ajab hua,
mai gazal sunaun hoon is liye zamana us ko bhula de.

تبصرے

اس بلاگ سے مقبول پوسٹس

zindagi ka zakhm gahra tha magar itna na tha Shamshad Kabir Nagri

Zindagi Ka Jakhm Gahra Tha Magar Itna N Tha, Tumse Pahle Bhi Mai Tanha Tha Magar Itna N Tha, Apne Apne Daag Sab Mujhpar Lagane Aa Gaye, Mera Daaman Maila Tha Magar Itna N Tha, Meri Khushboo Ko N Raas Aayi Hawa Ki Dosti, Mai Gali Koocho'n Me Ruswa Tha Magar Itna N Tha, Kya Khabar Thi Chheen Li Jayengi Aankhe'n Bhi Meri, Haan Mujhe Shauq-e-Tamasha Tha Magar Itna N Tha.

aisa lagta hai Barson se tha safar me || shamshad kabir nagri

Aisa Lagta Hai Barso'n Se Tha Safar Me, Jahan Se Chala Tha Wahin Khada Hoon, Use Yaad Rakhna Hai Ya Bhool Jana Hai, Iske Liye Mai Khud Se Khoob Lada Hoon, Dil Ko Sukun Nahi Zahen Bhool Jane Pe Ba-Zid, Ek Mai Hoo'n Ki Use Yaad Rakhne Pe Ada Hoo'n, Abhi Char Din Bhi Na Huye Mohabbat Me "Shamshad" Tajarba Kahta Hai Barso'n Se Is Marz Me Pada Hoo'n.

Kabhi Wo Kahta Hai Ki Ishq N Karna Tum Shamshad Kabir Nagri کبھی وہ کہتا ہے کہ عشق نہ کرنا تم شمشاد کبیر نگری

Kabhi Wo Kahta Hai Ki Ishq N Karna Tum, Ishq Karne Wale Badnasib Hote Hai'n, Nahi Dawa Duniya Me Kahin Ishq Ke Beemar Ki, Kabhi Wo Kahta Hai Ki Ishq Ibadat Hai Nahi Shai Koi Bazaar Ki, Kabhi Kahta Hai Padhayi Me Hain Bahut Masruf, Nahi Fursat Hame'n Ki Kare'n Baate'n Ishq-o-Pyaar Ki, Kabhi Kahta Hai Ki Jab Apni Aankh Ho Band To Kya Khata Andhkaar Ki, Kabhi Kahta Hai Sath Rahkar Chhod Jaane Wale Bahut Dekhe, Ab Zarurat Hai Zindagi Bhar Sath Nibhane Wale Yaar, Kabhi Kahta Hai Ham Hain Apne Bhool N Jaana Shamshad, Chale Aana Pass Jab Jarurat Ho Pyaar Ki, Samajh Me Nahi Aati Hai Baate'n Us Dilruba Yaar Ki, Koi Hai Jo Khabar Laye Us Majazi Yaar Ki.                                                                            کبھی وہ کہتا ہے کہ عشق نہ کرنا تم     ...