نظرانداز کرکے مرکزی مواد پر جائیں

اشاعتیں

mera haal puchh ki ham nasheen, in Urdu ||Kalim Aajiz

مرا حال پوچھ کہ ہم نشیں مرے سوزِدل کو ھوا نا دے بس یہی دعا کروں ہوں اب کہ یہ غم کسی کو خدا نہ دے یہ جو زخمِ دل کو پکائے ہم لئے پھر رہے ہیں چھپائے  ہم کوئی ناشناس مزاجِ غم کہیں ہاتھ اس کو لگا نہ دے تو جہاں سے آج ہے نکتہ چیں کبھی مدتوں میں رہا وہیں میں گدائے راہگزر نہیں مجھے دور ہی سے صدا نہ دے تب وتاب عشق کا ہے کرم کہ جمی ہے محفلِ چشمِ نم ذرا دیکھو اے ہوائے غم یہ چراغ کوئی بجھا نہ دے وہ جو شاعری کا سبب ہوا وہ معاملہ بھی عجب ہوا میں غزل سنائوں ہوں اس لئے زمانہ اس کو بھلا دے Mera Haal puchh ki ham nasheen mere soz-e-dil ko hawa n de, bas yahi duwa karun hun ab ki ye gam kisi ko khuda na de, ye jo zakhm-e-dil ko pakaye ham liye fir rahe hain chhipaye ham, koi na-shanaas mizaj-e-gam kahin hath is ko laga na de, tu jahan se aaj hai nukta cheen kabhi mauddaton me raha wahin, main gadaa-e-raahguzar nahin mujhe door hi se sada na de, tab-o-taab ishq ka hai karam ki jami hai mahfil-e-chasm-e-nam, zara dekho aye hawaa-e-gam ye charaag koi bujha na ...
حالیہ پوسٹس

mere hi lahu par guzar auqat karo ho, in urdu || Kalim Aajiz

میرے ہی لہو پر گزر اوقات کرو ہو ، مجھ سے ہی امیروں کی طرح بات کرو ہو ، دن ایک ستم ، ایک ستم رات کرو ہو ، وہ دوست ہو دشمن کو بھی تم مات کرو ہو ، ہم خاک نشیں تم سخن آرائے سرِبام ، پاس آکے ملو دور سے کیا بات کرو ہو ، ہم کو جو ملا ہے وہ تمھیں سے توملا ہے ، ہم اور بھلا دیں تمھیں؟ کیا بات کرو ہو ، یوں تو کبھی منھ پھیر کے دیکھو بھی نہیں ہو ، جب وقت پڑے ہے تو مدارات کرو ہو ، دامن پی کوئی چھینٹ نہ خنجر پے کوئ داغ ، تم قتل کرو ہو کہ کرامات کرو ہو ، بکنے بھی دو عاجز کو جو بولے ہے بکے ہے ، دیوانہ ہے دیوانے سے کیا بات کرو ہو ، Mere hi  lahu par guzar auqat karo ho, mujh se hi ameeron ki tarah baat karo ho, din ek sitam, ek sitam raat karo ho, wo dost ho dushman ko bhi tum maat karo ho, ham khak nasheen tum sukhan aara-e-sarebaam, paas aake milo door se kya baat karo ho, ham ko jo mila hai wo tumhi se to mila hai, ham aur bhula den tumhe? kya baat karo ho, yun to kabhi munh pher ke dekhe bhi nahi ho, jab waqt pade hai to mudarat karo ho, daman pe koi chhe...

mai to har tarah ke asbaab-e-halakat dekhun | Ahmad FARAZ | Urdu Poetry | Urdu Shairi | Urdu Gazal|

Mai to har tarah ke asbaab-e-halakat dekhun, Aye watan kash tujhe ab ke salamat dekhun, Wo jo qatil the wo easa nafsi bechte hain, Wo jo mujrim hain unhe ahl-e-adalat dekhun, Wo jo be zarf the ab sahib-e-maikhana huye, Ab ba mushkil koi dastaar salamat dekhun, Gardanen tooti hui sar hain khamida jinke, Unko sar gashta-e-pindar-e-imamat dekhun, Qeemat-e-be hunran neelam-o-marjaan thahri, Qismat-e-deede daran sang-e-malamat dekhun, Kizb ki reg-e-rawaan yun hai ki uske aage, Khushk hota hua dariya-e-sadaqat dekhun, Jane kab dashnah ko pewasht-e-ragen jaan karden, Har khari mai jinhe masruf-e-ibadat dekhun. Ahmad Faraz

Insha Ji Uthho Ab Kooch Karo || Urdu Nazam || Urdu Gazal || Urdu Shairi || Sher Mohammed Khan (Ibn Insha )

Insha ji uthho ab kooch karo, Is shahar me ji ko lagana Kya, Wahshi ko sukoon se kya matlab,  Jogi ka nagar me thhikana kya, Is dil ke darida daman ko, Dekho to sahi socho to sahi, Jis jhooli me Sau chhed huye, Us jholi ka failana Kya, Shab beeti chand bhi doob chala, Zanjeren padi darwaze par, Kiyun der gaye ghar aaye ho, Sajni se karoge bahana kya, Fir hijr ki lambi raat miyan, sanjog ki to yahi ek ghadi, Jo dil me hai lab par aane do, sharmana kya ghhabrana kya, Us roz jo unko dekha hai, Ab khwab ka aalam lagta hai, Us Roz jo unse baat huyi, Wo baat bhi thi afsana Kya, Us husn ke sache moti ko, Ham dekh saken par chhoo na saken, Jise dekh saken par chhoo na saken, Wo daulat kya wo khazana kya, Jab shahar ke log na rasta den, Kiyun ban men na jaa-o-sharaam karen, Deewanon ki si na baat kare to aur kare deewana kya. Note: Agar pasand aaye dost to comment zaroor karen Sher Mohammad Khan (Ibn Insha)

Kya Tune Kabhi Dekha Hai || Shamshad Kabir Nagri

Kya tune kabhi dekha hai aye dost, Wo zulfen wo aankhen wo adayen, Jinhe dekh kar koi bhi pagal ho Jaye, Wo lab wo rukhsar wo peshani, Jo dikhne me lage pariyon ki bhi raani, Jise dekh kar har koi usi ka ho jaye, Har shakhs khwahish kare meri ho jaye, Aise hi ek shakhs ne hamen deewana bana rakha Hai, Jab se use dekha hai Shamshad usi ka khayal dil me basa rakha.

Bhole Ban Kar Haal Na Poochho || Aarju Lakhnawi

Bhole Ban Kar Haal Na Puchho Bahte Hain Ashk To Bahne Do, Jis Se Badhhe Bechaini Dil Ki Aisi Tasalli Rahne Do, Rasmen Is Andher Nagri Ki Nayi Nahin Ye Purani Hain, Maher Pe Daalo Raat Ka Parda Maah Ko Roshan Rahne Do, Rooh Nikal Kar Baag Jahan Se Bage Jnaan Men Jaa Pahunche, Chehre Pe Apne Meri Nigahen Itni Der To Rahne Do, Khandae Gul Bulbul Men Hoga Gul Men Nagma Bulbul Ka, Qissa Ek Zabanen Do Hain Aap Kaho Ya Kahne Do, Apna Junoon Shauq Diya Kiyun Khauf Jo Tha Ruswai Ka, Baat Karo Khud Qabile Shikwa Ulte Mujhko Ulehne Do. Sirajuddin Ali Khan (Aarzu Lakhnawi)

kaha tha kisne ahde wafa karo usse ||Ahmad Faraz

Kaha Tha Kisne Ahde wafa karo usse, Jo yun kiya hai to fir kiyun gila karo usse, Naseeb fir koi taqreebe qurb ho ki na ho, Jo dil me hon wahi beaten kaha karo usse, Ye ahle bazm tanak hausla sahi fir bhi, Zara fasanae dil ibteda karo usse, Yeh kya ki tum hi gam-e-hijr ke fasane kaho, Kabhi to uske bahane suna karo usse, Faraz tarke ta alluq to khair kya hoga, Yahi bahut hai ki kam kam mila karo usse. Ahmad Faraz